Guftago ke lamhon main

Guftago ke lamhon main
dekh hi nahi patay
hum tumhare chehray ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa kartay hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat choar dete hain…
janay kia lamha ho ga
jab yeah hath hathoon se
agar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
hath choar detay hain…
kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath choar dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat toor dete hain…

Post a Comment

0 Comments