Zindagi me aisi koi sham na aaye

Zindagi me aisi koi sham na aaye
Jab labo par tera naam naa aaye
Ay jaan-e-wafa ye to mumkin nahi
Afsaana likhu aur tera naam na aaye
Hont khamosh rahte hai phir bhi
Har dua me tera hi naam aaye
Door na hona tu kabhi mujhse
Bas honto pe yahi fariyaad aaye
Gul-o-gulishta ki kya baat
Tere liye falak se tare tood laaye
Lu jab bhi saanse to ye hawaye bhi
Sang khushabu ke tere aane ka paigaam laaye
Ek tere aa jaane se ye mahfil kya
saray aalam hi ek noor se bhar jaaye

Post a Comment

0 Comments