Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain


Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain
sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain

unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain

zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain

hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain

qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain

munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain

hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain

chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.

Post a Comment

0 Comments