Jab Log Juda Ho Jatay Hain

Jab Log Juda Ho Jatay Hain
Sab Ehad Wafa Ho Jatay Hain
Jab NIyat Main Fatoor sa HO
Sab Amal GUnah Ho Jatay HAin
Jab Tere Baray Main Sochtay Hain
Sab Lafaz Dua Ho Jatay Hain
Jab Ghurbat Dar Pay Dastak De
Sab Yaar Khafa Ho Jatay Hain
Jab Waqt Dikhata Hay Aankhen
Sultan Gada Ho Jatay Hain
Tu Jab Bhi Mere Sath Na Ho
Tehwar Saza HO Jatay Hain
Jab Nafrat Lafzon Main Utray
Tab Apne Juda Ho JAtay Hain
Ye Duniya Hay Ae Mere Dost
Yahan Insan Khuda Ho Jatay HAin

Post a Comment

0 Comments