gaisoo_un ki hawa na day jana

gaisoo_un ki hawa na day jana
neend ko bad duwa na day jana

jis ka maatam kiya tha ghalib ne
mujh ko woh boriya na day jana

ker rahay ho ilaaj e wehshat e dil
koi ulti dawa na day jana

mujh ko insaan ki zarurat hai
reham kha ker khuda na day jana

hashar mein kon kis ko milta hai
hashar ka aasraa na day jana

main adam huun gharz parast nahin
mujh ko arz o sama na day jana

Post a Comment

0 Comments