Zaraa mulaaheza kijiye ke kyaa zamaana hai

Zaraa mulaaheza kijiye ke kyaa zamaana hai
Ke jin se seekhe sabaq the unhaiN sikhaana hai

Wo jis ke azm ke charche zamaaN ma hote haiN
Usii ki simt to pathar ka ab nishaana hai

HamaiN to dard ko sehne kii aisii aadat hai
Ke shikwaa dard ka shikwaa nahii taraana hai

Qadam hamaara jo phisle to kaise phisle ga
Qadam milaaye huye ham se ik zamaana hai

Chamak rahe the jo sooraj kii misl ham saare
Pataa chalaa ke ye ik Khwaab hai fasaana hai

Zia ko saare hii dushman lage baRe ache
Ke aaj us ne rafeeqoN ko apne jaana hai

Post a Comment

0 Comments