Too kisi aur ki Jageer hai Aye-jan-e-Ghazal


Too kisi aur ki Jageer hai Aye-jan-e-Ghazal
Log Tofan Otha den gey mere sath na chal

Pehlay Haq tha teri chahat ke chaman per mera
Pehlay Haq tha teri khusbu-e-Badan per mera

Ab mera Peyar, Teray Peyar ka Haq-dar nhi
Main tere Gesu-o-Rukhsar ka Haq-dar nhi

Ab kisi aur ke shaano per hai tera Aanchal
Log Tofan Otha den gey mere sath na chal

Main tere Peyar se Ghar apna Basaao'n kaisey
Main teri maang sitaaro'n se sajaon kaisey

Meri Qismat mein nhi Peyar ki khushbu shayad
Meri Hatho'n ki Lakeero'n me nhi Too shayad

Apni Taqdeer bana, meri Qismat na Badal
Log Tofan Otha den gey mere sath na chal

Post a Comment

1 Comments