sakoot-e-jaan ka matlub batado phir chalay jana

sakoot-e-jaan ka matlub batado phir chalay jana
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

jo mera or tumhara waqt guzra hansnay ronay may
usey poori terha say tum bhulado phir chalay jana

ye saray pair podey tum bina ik rut jagay hay
tum aakay ik baar inko sulado phir chalay jana

kisi ko chahney ka aur kisi sey chahey janey ka
jo hay ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana

bus ik hansi say apnay ashkon ko chupanay ka
jo fun aata hay tum ko, wo shikhado phir chalay jana

wo jo ik lafz-e-ulfat hay,juda hay apnay ma'ani say
bus in alfaz-o-manni ko mitado phir chalay jana

jo kehtey kehtey ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hay wo suna do phir chalay jana

na janay kyon hay lakin dekhnay ki tum ko aadat hay.........
meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana

merey in roz-o-shub ka ik fakat unwan bus tum ho........
mujhay tum doosra unwan lado phir chalay jana


Post a Comment

0 Comments