qudrat ki wadiyat hain

qudrat ki wadiyat hain
kabhi kuch de k jatay hain
kabhi sub cheen letay hain
kabhi bechain kartay hain
kabhi jena sekhatay hain
kabhi bantay hain jub aanso
umer bhar laho rulatay hain
kabhi lub ki hansi bankar
nae duniya sajatay hain
kabhi methi kasak bankar
anjani khalish bankar
makeen-e-dil ye bantay hain
kise sorat nahi mit,tay
jo in se door bhago tu
kahen janay nahi detay
na zinda rehnay detay hain
na ye aazaad kartay hain
nahi jiski dawa koe
ye aisa dard hotay hain
magar ye bhe ek haqeqat hai
her ek ko tu nahi miltay
baday nayaab hotay hain
DUKH ANMOOL HOTAY HAIN

Post a Comment

0 Comments