kabhi yaad aao to iss tarah


kabhi yaad aao to iss tarah
k lahoo ki sari tamazatain
tumain rung rung samait lain
tumain dhoop dhoop nikhar dain
tumain harf harf main soch lain
tujay dekhnay ka jo shoq ho
to diar e hijar ki teerigi ko
myzgaan ki nok say noch lain

kabhi yaad aao to iss tarah
k dil o nazar main samaa sako
kabhi had say habs e junoon barhay
to hawas ban k bikhar sako
kabhi khill sako shab e wasal main
kabhi khoon e dil main sanwar sako
sar e rah guzar jo millo kabhi
na thehr sako na guzar sako

mera dard phir say ghazal banay
kabhi gun-gunaao to iss tarah
meray zakhm phir say gulab hoon
kabhi muskarao to iss tarah
meri dharkanain b laraz uthain
kabhi dil dukhao to iss tarah

jo nahi to phir baray shoq say
sabhi rabtay, sabhi zaabtay ,
kaheen dhoop chaaon tor do
na shikast e dil ka sitam saho
na suno kissi ka azaab e jaan
na kissi say apni khalish kaho
yuun he khush raho yuun he khush phiro

na ujar sakain na sanwar sakain
kabhi chor jao to iss tarah
na sisak sakain na bilak sakain
kabhi bhool jao to iss tarah
kissi toar jaan say guzar sakain
kabhi yaad aao to iss tarah
kabhi yaad aao to iss tarah

Post a Comment

0 Comments