Kabhi tum ney yeh bhi socha


Kabhi tum ney yeh bhi socha
ke tumharey dil'garifta
tumhain kitna chahtey hain !

Tumhain zindagi se barh ker
jo azeez hum ney jana
so koi sabab to hoga
kabhi tum ney yeh bhi socha !

sar-e-shaam muntazir thay
kahin neel'mee(n) ujaalay
kahin titliyan labon ki
kahin phool jaisay aariz
kahin qum'qumon si aankhain

yeh jo chaara'gar humaray
koi saa'at-e-rafaaqat
sar-e-shaam mangtey thay
unhain kia khabar ke hum nay
tumhain sonp di hain raatain
tumhain daan ki hain aankhain

kabhi tum ney yeh bhi socha
ke tumharay dil'garifta
pas-e-baam-o-dar akelay
kisi shama-e-sokhta sey
yeh jo ker rahay hain batain
tumhain kitna chahtey hain !

tumhain roz-o-shab ke dukh main
kabhi bhoolna bhi chaahain
to kabhi na bhool paayen
ke yeh ehad-e-zindagi hai
jisey torrna bhi chaahain
to kabhi na torr paayen !

Post a Comment

0 Comments