kabhi ek nazar jo kartay to yeh zindagi sanwarti

kabhi ek nazar jo kartay to yeh zindagi sanwarti.

kabhi yeh hunar jo kartay to yeh zindagi sanwarti

meray dil ki rah guzar say meri zindagi kay hasil

kabhi tum guzar jo kartay to yeh zindagi sanwarti

kisi raat meray hamdam, meray bay sakoon dil mein

kabhi tum sehar jo kartay tu yee zindagi sanwarti

mere dukh bharay fasanay , mere bay qarar jazbay

kabhi yeh asar jo kartay to yeh zindagi sanwarti

yeh jo chah say sajay hain, inhi raston pay hamdam

kabhi ham safar jo kartay tu yee zindagi sanwarti.

Post a Comment

0 Comments