Es dil main salamat hai ab tak

Es dil main salamat hai ab tak
Wo shokhi-e-lab WO haraf-e-wafa
So baar jesey chooma hum ney
So baar parastish ki jis ki
Es dil main salamat hai ab tak
Wo gard-e-alum WO deeda-e-nam
Hum jis main chupa kar rakhtey they
Tasvir bikharti yaadon ki
Zanjir pighaltey wadon ki
Poonji nakam iradon ki
Aae tez hawa naraz Na hoo
Es dil main salamat hai ab tak
Saman bichhrti sa’at ka
Kuch turkey garam dopaheron k
Kuch rezey naram sawalon k
Kuch dar anmol khyalon k
Ek sacha roop haqiqat ka
Ek jhota lafaz MOHABAT ka...!!

Post a Comment

0 Comments