Zindagi dard bhi, dawa bhi thi

Zindagi dard bhi, dawa bhi thi
Hum'safar bhi gureizpaa bhi thi

Kuch to the dost bhi wafa dushman
Kuch mairi aankh main haya bhi thi

Din ka apna bhi shor tha laikin
Shub ki aawaaz bhi sada bhi thi

Ishq ne hum ko ghaib'daan kiya
Ye'hi tohfa, ye'hi saza bhi thi

Gard'baad-e-wafa se pehle tak
Sar pe khaima bhi tha rida bhi thi

Maan ki aankhein charagh thein jis main
Mere hum'raah wo dua bhi thi

Kuch to thi reh'guzar main shama-e-talab
Aur kuch taiz wo hawa bhi thi

Be'wafa to wo khair tha Amjad
Laikin us main kahein wafa bhi thi.



Post a Comment

0 Comments