tumne to kah diyaa ke muhabbat nahiiN milii

tumne to kah diyaa ke muhabbat nahiiN milii
mujh ko to ye bhii kahne kii fursat nahiiN milii

neendon ke der jaate koii Khvaab dekhte
lekin diyaa jalaane kii fursat nahiiN milii

tujh ko Khair shah’r ke logoN kaa Khauf thaa
aur mujh ko apne ghar se ijaazat nahiiN milii

phir iKhtilaaf-e-raaye kii suurat nikal paRii
apnii yahaaN kisii se bhii aadat nahiiN milii

be-zaar yuuN hu’e ke tere ahd meN hamiiN
sab kuch milaa, sukuuN kii daulat nahiiN milii

Post a Comment

0 Comments