Talash bol rahi hay, nahi mila ab tak

Talash bol rahi hay, nahi mila ab tak
Jahan pukar raha hay, Khuda Khuda ab tak

Har aik dard ko aadat bana liya dil ne
Bus aik hijr ka, aadi nahi huwa ab tak

Dimaagh aur thikanon mein ja basa kab se
Magar ye dil ke, mohabbat mein hi raha ab tak

Sakoot chaar taraf hay, magar sakoon kahan
Dilon mein ghol rahi hay, koi sada ab tak

Ye poochti ha bashar se, falak ki khamoshi
Tuu kis ke naam pe sehta raha saza ab tak

Mera nahi to wo phir, kis ka khwaab tha
Jo meri aankh ko deta raha sada ab tak

Post a Comment

0 Comments