Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh

Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh
Yeh kaisa zulam hay k ajnabi gardanta hay woh

mere hathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsa tha
Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh?

Magar phir bhi usay apna banane k gumaa,n mein hon
Mujhe maloom hay k kab kisi ki maanta hay woh

Shahara mangta hay sirf tanhayi k lamhon mein
Muhabat ka taluq kab kisi se bandhta hay woh

Main is duniya k har ik jabar ko phir bhool jata hon
Jab apne qurab se mere din ko dhanphta hay woh

Mera dil chahta hay Uss ko seene se laga lon main
rida e ghum ko apni rooh pe jab tanta hay woh

Mujhe jab dukh milein tu kis qadar khushiyan manata hay
Chalo wasiq kisi terha to mujh ko manta hay woh

Post a Comment

0 Comments