Hawa ko awara kehne walo

Hawa ko awara kehne walo,
kbi to socho,
kbi to likho,
hawaien kyo apni manzilon se bhatak gain hain,
na unki aankho main khab koi,
na khab main intizar koi,
na un k sare safar main subh-e-yaqeen koi,
na sham or eitbar koi,
na un ki apni zameen koi,
na aasman pe koi sitara,
na koi mosam,
na koi khushbo la ista'ara,
na roshni ki lakeer koi,
na unka apna safeer koi,
jo un k dukh per kitab likhe,
musafirat k azaab likhe,
Hawa ko aawara kehne walo,
kbi to socho.............

Post a Comment

0 Comments