Hai Duaa Yaad magar Hurf-e-Duaa Yaad nahi

Hai Duaa Yaad magar Hurf-e-Duaa Yaad nahi
Mere Naghmaat ko Andaaz-e-Nawa Yaad nahi

Mai ne Palkon se Darya pe Dastak di hai
Mai wo Saa'il hoon jise koi Sada Yaad nahi
 
Hum ne jin ke lye Raahon mai Bichaya tha Lahoo
Hum se kehtey hain wohi Ahd-e-Wafa Yaad nahi


Kese Bhar aayi Sar-e-Shaam kisi ki Aankhein
Kese Tehrai Chiragon ki Ziaa Yaad nahi


Sirf dhundlaye Sitaaron ki Chamak dekhi hai
Kab hua, kon hua, kis se Khafa Yaad nahi


Zindagi Jabr-e-Musalsal ki tarah Kayi hai
Jane kis Jurm ki payi hia Saza Yaad nahi


Aao ek Sajda karein Aalam-e-Madhosi mai
Log Kehtey hain 'SAGAR' ko Khuda Yaad nahi

Post a Comment

0 Comments