Dukh Anmol Hotay Hain

Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Dukh Anmol Hotay Hain..!!
Qudrat ki wadiyat hotay hain...
kabhie kuch day ke jatay hain
kabhie sab kuch cheen layte hain
kabhie baychain kartay hain..
kabhie jeena sikhatay hain..
kabhie bantay hain jab ansooo
umer bhar lahoo rulatay hain..
kabhie lab ki haseee ban kar
naee duniya sajatay hain..
kabhie meethi kasak bankar
anjani khalish bankar..
makeen-e-dil yeh bantay hain
kisi soorat nahi mit'tay
jo in se door bhago tu
kahin jane nahi dayte
na zinda rehnay dayte hain..
na yeh azaad kartay hain
nahin jiski dawwa koi...
Magar yeh bhi haqeeqat hai
her aik ko tu nahi miltay..
baray Nayaab hotay hain
Dukh Anmol Hotay Hain..!!

Post a Comment

0 Comments