yun hi umeed dilatay hain zamanay walay

yun hi umeed dilatay hain zamanay walay
kab palat tay hain bhala chor ke janay walay

tu kabhi dekh jhulastay huay sehra main darakht
kaisay jaltay hain wafaaon ko nibhanay walay

in se aati hai tere lamas ki khushboo ab bhi
khat nikalay huay bhaitha hoon puranay walay

aa kabhi dekh zara inkii shabon main aakar
kitna rotay hain zamany ko hansanay walay

kuch to aankhon ki zubanii bhi kahe jatay hain
moon se hotay nahi sab raaz batanay walay

aaj baizaar hai sitara hai na jugnoo koi
rabtay khatam huay saray un se milanay walay

Post a Comment

0 Comments