firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye

firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye 
subuk huye hai.n to aish-e-malaal se bhii gaye

jo but-kade me.n the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal
haram me.n aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye

usii nigaah kii narmii se Dag-magaa gaye qadam
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye

Gam-e-hayaat-o-Gam-e-dost kii kashaakash me.n
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii gaye

vo log jin se terii bazm me.n the ha.ngaame
gaye to kyaa terii bazm-e-Khayaal se bhii gaye

ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa
ke par-shikasto.n me.n apanii misaal se bhii gaye

charaag-e-bazm abhii jaan-e-a.njuman na bujhaa
ke ye bujhaa to tere khad-o-Khaal se bhii gaye



Post a Comment

0 Comments