Dono ko aa saki na nibhani muhabbatain

Dono ko aa saki na nibhani muhabbatain
ab par rahi hain ham ko bhulani muhabbatain

Jin jin rifaqaton k diye wastay magar
Uss ko na yaad aain purani muhabbatain

Guzri Rutton k zakham bhi ab tak bharay nahee
Phir Aur kiya kissi se barhani muhabbatain

Janay wo aaj kon se rastay se aain ghar
Har morrr har gali pe bichani muhabbatein

Post a Comment

0 Comments