Bauht hi muddat k baad kal jab

Bauht hi muddat k baad kal jab...
Kitab-e-Mazi ko main ny khola..

Boht se chehrey nzar main utray...
Bahut se namo'n pe dil paseeja....

Ik aisa safa bhi us main aaya....
Likha hua tha jo aansoon se....

K jis ka unwaan 'HUMSAFAR' tha....
Woh safa sub se mo'tabar tha....

Kuch aur aansoo phir us pe tapkay....
Phir uss se aagay main parh na paaya...

Kitab-e-Mazi ko bund ker k...
Uski yaadon main kho gaya main....

Agar woh milta tu kaisa hota...
Inhi khayalon main so gaya main

Post a Comment

0 Comments