Yeh wafa ka silah hai, to koi baat nahee

Yeh wafa ka silah hai, to koi baat nahee

Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahee

Yeh buhut hai k tum dekhtay ho sahil se

Safeena doob raha hai, to koi baat nahee

Rakha thaa aashiyana-e-dil main chupa k tumko

Woh ghar tum ne chor diya hai, to koi baat nahee

Tum hi ne aayina-e-dil mera banaya thaa

Tum hi ne tor diya hai, to koi baat nahee

Kiski majaal kahay koi mujh ko deewana

Agar yeh tumne kaha hai, to koi baat nahee

Post a Comment

1 Comments