Teri khatir ye nazrein bichhi hi raheen

Teri khatir ye nazrein bichhi hi raheen
Dil ne maana kabhi tum ne aana nahin

Kitni chaahat hai dil mein tere wastay
Jaan-i-Jaanan kabhi tum ne jaana nahin

Aakhri deed ko aankhein tashna rahin
Mil ke jaatay magar tum ne maana nahin

Dil girifta hain ghamgeen hain..choor hain
Apne deewanoon ko tum sataana nahin

Tere aashiq ye sadyon se sooay nahin
Aankh lag jaaye gar tum jagaana nahin

Tujh se pehlay thi be-rung ye zindagi
Ro chukay hain bohat ab rulaana nahin

Jab say tu hai gayaa, phirtay hain jaa-bajaa
Kaisay ruk jaaein apna thikaana nahin

Roothna..maan-naa hans kay yun chher-na
Wo rafaaqat ke pal tum bhulaana nahin

Rishtay naazuk bohat dosti piyaar ke
Ho sakay tu kabhi aazmaana nahin

Post a Comment

0 Comments