Tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar

Tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar
yoon tere tasawur ne sataya mujhe din bhar

dil main wo kasak chorr gaya subha ka taara
ik lamha bhi aaraam na aaya mujhe din bhar

weeraan bayabaan main,kabhi ujrray gharon main
phirta raha lay kar tera saaya mujhe din bhar

deti rahi chaandni shab bhar mujhe aawaaz
sooraj ne bhi reh reh k bulaaya mujhe din bhar

har simt bhare sheher thay kiya jaaniye phir bhi
tanhaaii k ehsaas ne khaaya mujhe din bhar

lehje main ghani chhaaon k,paton ki zubaan main
payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar

ik pal main hi batlaa gaiin dam torrti kirnen
wo raaz jo aey "Sham" na paaya mujhe din bhar

Post a Comment

0 Comments