Mohabbat Ka Apni Silaa Chaahiey

Mohabbat Ka Apni Silaa Chaahiey
Mujhay Tum Say Bas Kuch Wafa Chaahiey
Zara Si Khushi Ka Pata Chaahiey
Humain Aur Duniya Say Kia Chaahiey

Meri Zindagi Ko Yeh Kia Chaahiey
Na Ho Khatam Jo,Woh Maza Chaahiey
Zamanay Nay Dein Hain Buhat Thokarain
Sambhalnay Ko Ab Aasraa Chaahiey

Judda Paas Reh K Hai Hona Kathin
Judda Honay Ko, Faasla Chaahiey
Yeh Manzar Nahin Ab Mujhey Dekhna
Nazaaraa Mujhay Ab Judda Chaahiey

Kabhi Aa K Kar Do Muqammal Issay
Ghazal Ko Meri Qaafiya Chaahiey
Nahin Chaahiey Aur Kuch Bhi Mujhay
Buhat Jee Lieya Ab Qazaa Chaahiey


Usay Bhoolnay K Liey Aye Khuda
Mujh Ko, Kuch Hoslaa Chaahiey....!



Post a Comment

0 Comments