kisee aur zindgee ka is main hissa hai

kisee aur zindgee ka is main hissa hai
ek umr se bada hamara rishta hai

dil ko ek baar ankhein to deejiye
zindgee se aage bhee kuch dikta hai

main jo bhee geet kagaz pe utaroon
koyee aa ke wahan tera nam likhata hai

main likhana kis tarah chor sakta hoon
ye ayeena hai too jis main dikhata hai

log kahate hain us ko kisee ne nahee dekha
too muskraye to mujhe woh dikhata hai

tera do lamho ka sath mila to sab mil gaya
ab kyon poochein ye kismat kaun likhta hai !

Post a Comment

0 Comments