Kabhi waqt milay to aa jao

Kabhi waqt milay to aa jao
Hum jheel kinaray ja baithain
Tum apnay sukh ki bat karo
Hum apnay dukh ki bat karain
Or bat karain un lamhon ki
Jo sang tumharay beet gay
OR Ehd-e-khizan ki nazr huay
In subz ruton k daman mai
Hum pyar ki khushbu mehkaain
In bikhray sabz nazaron ko
Hum ankhon mai tasweer karain
Phir apnay pyar k jadu say
Hum lamhoon ko jageer karain
Kabhi waqt milay to aa jao
Kabhi waqt milay to aa jao

Post a Comment

0 Comments