Jab bhi aate hay wo mayray dehaan main

Jab bhi aate hay wo mayray dehaan main
Phool rakh jate hay roushan daan main
Ghar kay baam o dar naye lagnay lagay
Husan aisa tha meray mehmaan main
Tera chehra Aaenay kay saamnay
Or Aaena naye Imkaan main
Aks teray,tayri khushboo ,teray rang
Bas yehi kuch hay meray samaan main
Jisim o jaan ko taaza mousam mil gaye
Jal gaya main teray Aatish daan main
Aandhiyoon main bhi uraata hay mughay
Koun hay ye meray jisim o jaan main
Jan darakht Angnaaye kay jalnay lagay
Dhoop utar aaye meray dalaan main
Tittliyaan kamray kay under Aagyen
Aik phool aisa bhi tha gul daan main
Aajnabi khuwaboon ka soorat gar hon main
Or main gum hoon teyri pehchaan main

Post a Comment

0 Comments