Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi

Ishq ne Dil mai jaga ki to Qazaa bhi aayi
Dard Dunya mai jab aaya to Dawa bhi aayi

Dil ki Hasti se kiya Ishq ne Aagah Mujhe
Dil jab aaya to Dharakne ki Sada bhi aayi

Sadqe utaraenge, Aseeran-e-Qafas chuute hain
Bijliyan leke Nasheman per Ghata bhi aayi

Haan!! na tha Baab-e-Asr band, Magar kya kahiye
Aah pohunchi thi k Dushman ki Duaa bhi aayi

Aap socha hi kiye, Us se Miloon ya na Miloon
Maut Mushtaaq ko mitti mai mila bhi aayi

Lo!! Masihaa ne bhi, Allah ne bhi Yaad kiya
Aaj Beemar ko Hichki bhi, Qazaa bhi aayi

Dekh ye Judaa-e-Hastii hai, Sanbhal ker DEEWANE
Piche Piche wo Dabe Paaon Qaza bhi aayi...



Post a Comment

0 Comments