Hijr Ki Shab Bhi Aur Ujala Hai

Hijr Ki Shab Bhi Aur Ujala Hai,
Kya Tasavvur Bhi Lutane Wala Hai,

GaM To Hai Zindagi Lekin
GuMgusaron Ne Maar Dala Hai,

IshQ Majboor-O-NaMuraad Sahi,
Phir Bhi SaaliM Ka Bol-Baala Hai,

Dekh Kar BarQ Ki Pareshani,
Aashiyan Khud Hi Phoonk Dala Hai,

Kitne AshQon Ko Kitni Aahon Ko,
Ek TabassuM Mein Usne Daala Hai,

Teri Baaton Ko Maine Aye Vaa'iz,
EhtaraaMan Hansi Mein Taala Hai,

Maut Aaye To Din Phire Shayad,
Zindagi Ne To Maar Dala Hai,

Sher, NazMein, Shaguftagi, Masti,
GaM Ka Jo Roop Hai Nirala Hai,

Lagzishein Muskurayi Hai Kya Kya,
Hosh Ne Jab Mujhe SaMbhala Hai,

DaM Andhere Mein Ghut Raha Hai,
Aur Charon Taraf Ujala Hai...

Post a Comment

0 Comments