dil mein ab yun tere bhule huye Gam aate hain

dil mein ab yun tere bhule huye Gam aate hain
jaise bichre huye kaabe mein sanam aate hain

ek ek kar ke huye jaate hain taare raushan
merii manzil kii taraf tere qadam aate hain

raqs-e-may tez karo, saaz kii lay tez karo
suu-e-maiKhana safiiraan-e-haram aate hain

kuch hamin ko nahin ehasaan uThaane ka
dimaag
wo to jab aate hain maayil-ba-karam aate hain

aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam aate hain

Post a Comment

0 Comments