Wo baat baat main itna badalta jaata hai,

Wo baat baat main itna badalta jaata hai,
K jis tarah koi waada badalta jaata hai,

Ye aarzoo thi k hum us k saath saath chalen,
Magar wo shaqs to rasta badalta jaata hai,

Jo taiz dhoop main sar par raha wahi aanchal,
Hawa chali hai to kitna badalta jaata hai,

Rutain wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
K us ki baat ka lehja badalta jaata hai,

Woh baat ker jise dunia bhi moattaber samjhe,
Tujhe khabar hai zamana badalta jaata hai,

Ye aarzoo thi k hum us k saath saath chalen,
Magar wo shaqs to rasta badalta jaata hai...!!!

Post a Comment

0 Comments