KaMaal-E-Zabt Ko Khud Par Bhi AazMaungi,

KaMaal-E-Zabt Ko Khud Par Bhi AazMaungi,
Main Apne Haath Se Uski Dulhan Sajaungi,

Supurd Karke Use Chandni Ke Haathon,
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Laut Aaungi,

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi SaMajh Na Payega,
Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi,

Wo Kya Gaya Ke RafaQat Ke Saare Lutf Gaye,
Main Kisse Roothungi Kise Manaungi,

Wo Ek Rishta-E-BenaaM Bhi Nahi Lekin,
Main Ab Bhi Uske Isharon Pe Sar Jhukaungi,

Bichha Diya Tha Gulabon Ke Sath Apna Wajood,
Wo So Ke Uthe To Khwabon Ki Raakh Uthaungi,

Ab Uska Fan To Kisi Aur Se Mansoob Hogaya,
Main Kiski NazM Akele Mein Gungunaungi,

Jawaz Dhund Rahi Thi Nahi Mohabbat Ka,
Wo Keh Raha Tha Ke Main Usko Bhul Jaungi.

Post a Comment

0 Comments