Inhiin Khush gumaaniyon men kahiin jaan se bhi na jaao

Inhiin Khush gumaaniyon men kahiin jaan se bhi na jaao
Wo jo chaaraagar nahin hai use zakhm kyuN dhikhaao

Ye udaasiyon ke mausam kahin raayegaaN na jaayeN
Kisi zakhm ko kuredo kisi dard ko jagaao

Wo kahaaniyaan adhurii jo na ho sakengi puri
Unhen main bhi kyun sunaaun unhen tum bhi kyun sunaao

Mere hamsafar puraane mere ab bhi muntazir hain
Tumhen saath chornaa hai to abhii se chor jaao

Ye judaaiyon ke raste bari dur tak gaye hain
Jo gayaa wo phir na lautaa meri baat maan jaao

Kisii bewafaa ki khaatir ye junun 'Faraz' kab tak
Jo tumhen bhulaa chukaa hai use tum bhii bhuul jaao

Post a Comment

0 Comments