aankh rone ke liye

intiqaman hans raha hoon khoob ronay k liay
woh qareeb aanay lagay hain door honay k liay

koi maanay ya na manay ham nay jana hai yehi
dil tarrapnay k liay hai aankh ronay k liay

kia qayamat hai maseeha waar kar k chal dia
or qaatil aa gaya hai zakhm dhonay k liay

aaj tak yeh bhi na socha kiun huay ham darbadar
tujh ko paanay k liay ya khud ko khonay k liay

meri duniya door hi say dekhnay ki cheez thi
aap nahaq aa gaye maghmoom honay kay liay

Post a Comment

0 Comments