zabt hum say kiya nai jata

zabt hum say kiya nai jata,
aanso`on ko piya nai jata,

is qadar gham milay hamain yaron,
ab khushi main jiya nai jata,

kia sunayein tumhain jafa us ki,
naam jis ka liya nai jata,

main to rota hun ashk behtay nai,
saath un say diya nai jata,

baat koi to hoti hai werna,
zehar hans ker piya nai jata ...

Post a Comment

0 Comments