jan hai be-qarar si, jism hai paemal sa

jan hai be-qarar si, jism hai paemal sa
ab na wo dagh, wo jigar, sirf hai ik khyal sa

chahiye ishq main muje ap he ka jamal sa
dagh har aik badr sa, zakhm har ik hilal sa

jis ne bana diya muje wehshi-o-khasta hal sa
haey! wo shakl chand si, haey wo qad nihal sa

dil pe mirey giraen theen tum he ne bijlian, magar
aao nazar ke samney, muj ko hai ehtimal sa

haey re wo atab main, un ki adaain un ki shakl
ankhain bhi surkh surkh si, chehra bhi lal lal sa

uthtey he paa-e-yar ke bagh ka bagh ujar gaya
phool bhi hain tabah se sabza bhi paemal sa

husn ki sehar karian ishq ke dil se poochhiye
wasl kabi hai hijr sa, hijr kabi wisal sa

gum shudgan-e-ishq ki shan bhi kia ajeeb hai!
aankh main ik saroor sa chehrey pe ik jalal sa

Post a Comment

0 Comments