Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna
Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna



Kehna k samundar k kinare pe na jaye
Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna


Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hotiii
Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna


Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote
Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna


Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona
K basti k sabhi log hain behray usay kehna


phir waqt k maqtal me sajhti hain woh aankhein
jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna


wo shakhs mujhy pyara ha usay kehna,
wohi jeenay ka sahara ha usay kehna,,


log pyaray hain bohat se mujh ko,
wo sab se pyara hai usay kehna


mohabbatain, shikayatain, adawatain uske,
mujhy sab gawara hai usay kehna,,


chahnay walay aur bhi hai lekin,
ya dil sirf aur sirf tumhara hai usay kehna…


Post a Comment

0 Comments