KABHI ALVIDA NA KAHNAA

Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,
har chehre me kuch toh Ehsaah hai,
Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,
kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .

Chiragon se agar andhera duur hota,
toh chand ki chahat kise hoti.
Kat sakti agar akele zindagi,
to dosti naam ki cheez hi na hoti.

Kabhi kisi se Zikar e judai mat karna,
Iss dost se kabhi ruswai mat karna,
Jab dil uth jaye humse toh bata dena,
Na batakar bewafai mat karna.

Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai
Asma lakh uncha ho magar jhuk jata hai
Dosti me duniya lakh bane rukawat,
Agar dost sacha ho to khuda bi jhuk jata hai.

Dosti woh Ehsas hai joh mit ta nahi.
Dosti Parwat hai woh, joh Jhukta nahi,
Iski keemat kya hai pucho Humse,
yeh woh ANMOL Moti hai joh bikta nahi . . .

Sachi hai Dosti Aazame ke dekho,
Karke yakin mujhepe mere paas aake dekhlo,
badalta nahi kabhi Sona apna rang,
Chahe jitni baar aag me jalaa ke dekhlo . .

Dard jitna saha jaye utna hi sehna
Dil ko jo lag jaye woh baat na kehna
Milte hai hamare jese dost bahot kam iss liye
KABHI ALVIDA NA KAHNAA!!!!!

Post a Comment

2 Comments