baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye


baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah me.n
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

juganuu ko din ke vaqt paka.Dane kii zid kare.n
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye


laharaa rahii hai barf kii chaadar haTaa ke ghaas
suuraj kii shah pe tinake bhii bebaak ho gaye

suuraj dimaaG log bhii iblaaG-e-fikr me.n
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

jab bhii Gariib-e-shahar se kuchh guftaguu hu_ii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye

saahil pe jitane aab_guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke ruKh badalate hii tairaak ho gaye

Post a Comment

0 Comments