Aisa Lagta hay zindagi tum ho

Aisa lagta hai zindagi tum ho Ajnabi kahe ajnabi tum ho Log kahte hain ajnabi tum ho Ajnabi meri zindagi tum ho

Mujhe apna shareeke gham karlo Yun akele bahot dukhi tum ho Dosto se wafa ki ummiden Kis zamane ke admi tum ho


Dil kisi aur ka na hosaka Aarzo meri aaj bhi tum ho Main zamin pe ghana andhera
Aasman ki chandni tum ho

Log aate hain log jate hain meri aankhon mein aaj bhi tim ho
Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta

Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi kartaPar kuch to baat hai teri fitrat me zalim Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta


Na who farishta ho na farishtey jaisa ho Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai

Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

Post a Comment

0 Comments