Bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai
jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai
kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai
talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne
mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai
kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai
kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri
kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai
darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai
0 Comments