aankhoon se rang, baat ka lehja badal gaya



aankhoon se rang, baat ka lehja badal gaya
woh shaks aik raat main kaisa badal gaya


kuch din to mera aks raha ainay pe naqsh
phir yun hua k khud mera chehra badal gaya


jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
to kya hua jo hum se zamana badal gaya


qadmoon talay jo rait bichi thi woh chal pari
us ne churaya haath to sehra badal gaya


koi bhi cheez apni jaga par nahi rahi
jate hi aik shaks k kya kya badal gaya


ik sarkashi ki mauj ne kaisa kiya kamal
woh benayaz sare ka sara badal gaya

Post a Comment

0 Comments