Tamasha ban kar reh gayi hay


Tamasha ban kar reh gayi hai
reh-guzar yeh meri
na jaane kis talaash mein
yeh zindagi hai meri

sajji thi mehfil kal yaaron ki
khushiyon ki lai thi saugat
aaj na koi dost na parchai hai
soone palon se bhari
yeh zindagi hai meri

sannate ki aahat pe
dil kuch ghabraaya tha
jab din thak kar chupke se
dhalne ko aaya tha
roshan kai chirag par
yaadon ke andheron mein simat-ti
yeh zindagi hai meri

nigaahe aaj bhi uska rasta dekhti hai
us ajnabi ki dhadkan pehchanti hai
ek khwahish ke saroor pe zinda
khone ke hunar se bhari
yeh zindagi hai meri

Tere mere milan ki yeh raina
kuch pal mein dum tod gayi
khauf ke jeet ka jashn dekh
apni haar ka matam manaati
yeh zindagi hai meri

Tamasha ban kar reh gayi hai
reh-guzar yeh meri
na jaane kis talaash mein
yeh zindagi hai meri

Post a Comment

0 Comments