Kyun Karein Hum Gila Zamane Se


Kyun Karein Hum Gila Zamane Se
Lagte Hain Apney Bhi Begane Se

Jal Na Jayein Kahee Pe Khushiyan Bhi
Darte Hain Deep Bhi Jalaane Se

Kaise Leta Main Imtehaan Unka
Dar Gaya Unko Aazmaney Se

Waqt Dhaata Raha Hai Humpe Sitam
Dar Gaye Hum To Dil Lagaane Se

Zindagi Kati Sada Andheron Mein
Dar Gaye Raushni Mein Aane Se

Dard Mera To Kum Naheen Hoga
Kya Milega Unhe Bataane Se

Kapkapate Hain Hontth Bhi Abto
Darte Hain Kuchh Bhi Gungunane Se

Rishta Nazuk Hai Toot Jaayega
Aazmao Na Tum Bahaaney Se

Tum Jo Roothhe Adaa Tumhari Hai
Jaan Jaati Hai Roothh Jane Se

Laut Ke Phir Na Woh Kabhi Aaya
Aisa Roothha Woh Is Zamane Se

Post a Comment

1 Comments