Ghar ke aangan mein ranga rung gulab



Ghar ke aangan mein ranga rung gulab



Khilkar aaya tha oon per shabab



Dhoop nikli hui



Tha mosam khushgawar



Dhoop se phoolon per halki halki Nami



Jaisay Dulhan ka halka halka



Shrm se nikla



Hasin bdn per pasina



Ham baithay neem garam dhup sek rahay the



Mairi jan-e ghazal gul-chiN banker



Gul-chiNee kar rahi thi



Gul-e raana ke phool katkar



Guldaan ke liyae



Guldasta bana rahi thi



Ham ne is khubsurat manzar ko dekhkar farmaya ke



Is guldastae ki khushbu se ziyada



Tairay balon me laga huva Gajra bhi



Balon se lpt kr itra itra kar mahak bikhair raha hy



Aur- Gulshan ko AuR rangeen bana raha hy



Ooski kuch dair ki zindgi me bahar aayi hy-

visal ka hy mosam



Na janay phir yeh mosam milay na milay



Ham ne kaha gulab ke rangon ki pasand umda hy



Soon kar boli ham bhi to gul-e raana hain?



Ji haan voh to hy!

per gul- kam gul- khar ziyada?



Phir kiya huva?



Thik hy phir na pukarna gul-e raana???

Ab to katain milaingay!!!



Allah! tesh to vohi hy barson puranay….



Post a Comment

1 Comments