Kuch Nahi Milta



Kissi Ki Aankh Se Sapney Churaa Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Buja Ker Kuch Nahi Milta

Koyi Ik Adha Sapna Ho Tou woh , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khwab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unkoo Nahi Miltaa Kabhi Pardeis Bhi jaa Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Isse Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Aazmaa Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Sono Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

Post a Comment

0 Comments